Stories: Adam-Khor Part 2

Stories: Adam-Khor Part 2

Stories: Adam-Khor Part 2

Written By: Mahwash Shabbir





Chelsi ne marti ko hosla dete hue kaha, Marti daro nahi tum Toni ke paas so jao warna Toni jaag Gaya to or shor karega . Main darwazy ki hifazat karti hoon. Achanak darwazy par kisi ne zor zor se apnay jooton se dastak deni shuru Kardi. Ye awaz kesi hai? Chelsi ne Marti ki taraf dekhte hue kaha. Ye yakeenan darwazy ko koi jooton se peet raha hai. Jooton se? Marti ne hairat se poocha. Haan Lekin agar koi jooton se peet raha hai to koi museebat me fasa hua insaan bhi ho sakta hai humain khol Kar dekh lena chahiye, marti ne nehahat masomiyat se kaha. Chelsi Kuch sochtay hue andaz main boli, magar hifazati iqdamat (safety planning) Kar lo or Toni ko bhi jaga do.

Read Adam-Khor Part 1

Marti ne foran bhag Kar Toni par se kambal khench liya. Toni har bara Kar uth betha. Chelsi chelsi Marti ko daikhin mera kambal nahi de rahi . Chelsi Toni ke karib aa Kar ahista se boli, Toni dear uth jao ghar main Shayad koi khatra hai. Bahar koi dastak de raha hai, ho sakta hai wo koi mujrim, daku ya koi or ho. Toni ekdum uth kar beth gaya, ab kya hoga? Chelsi aap Kuch karein, aap Kuch karein. Marti ne us ke alfaz uchak liye (dobara se us k ilfaz bolna, chiraney k liye) or kaha kya karain keh to rahi hai hifazati iqdamat Karlo. Utho or ghar main jo Kuch hai wo lete hain or dushman par hamla kar dete hain ye Sunte hi Toni hass pada. Achanak zor-zor se peeta jaane laga darwaze ko. Toni ghabra Kar chelsi se lipat Gaya, Chelsi ab to hum nai bach sakte hamara ghar bhi to kafi faslay par hai taqreeban sau (100) qadam ke faslay par charch hai Baki ghar bhi hamaray ghar se faslay par hai hum pukarain to kisko. Chelsi ne ankhain matkatay huay kaha ,'Magar chelsi ap to hifazati iqdamat krnay wali thin. Chelsi ne kaha chalo khol Kar dekhte hain darwaze par kon hain Lekin us se pehlay papa ki purani bandook le aao jo papa ne Puranay kapdon ki almari main rakhi hui hai. Chelsi ne hidayat kartay hue Toni se kaha. Wo wali bandook acha main abhi lata hoon. Tony andar ke kamrey ki taraf bhaga. Marti tum ye churi pakad lo aur tony tum bandook lao. Main bandook pakdti hoon, tony tum darwaza kholo. Marti ko keh dein tony ne darte hue kaha. Nahi darwaza tum khologey. Chelsi ne faisle ke andaz main kaha.

Read Adam-Khor Part 3

Tony jab darwazy ke paas pohucha to chelsi darwaze ke saamney bandook la kar khadi hogai. Marti bhi apni position per khadi ho gai. Tony ne jhat se chatakhni (lock) khol dia aur ek jhatkey se darwaze ko apni taraf khinch liya aur khud darwaze ke peechy ho gaya. Darwaza khulte hi Marti aur Chelsi chilla uthein. Tony ghabra kar chelsi ke Kareeb aa gaya. Darwazy par ek Shaks muh ke bal gira pada tha. Us k jism se khoon beh raha tha aur us k hath Pechey ki taraf bandhe hue the aur muh per patti bandhi hui thi. Wo waqai apnay Booton (shoes) se darwaza khat’khata (knock) raha tha. Us ke jootay kafi bade bade they, Us ka chehra patti ki wajah se saaf nahi dikhai de raha tha. Us ke jism se Bohat sa khoon beh Kar sadak (road) par bikhar gaya tha. Wo khisak kar darwazay ke andar aane ki koshish karne laga. Marti ne cheekh marni chahi magar chelsi ne us ke muh par hath rakh diya or kaha hamain is ki Mdad marni chaiye or Toni or chelsi ne aage badh kar us shaks ko ghaseet Kar andar dal diya or darwaza band Kar diya . Chelsi ne bamushkil us ajnabi ko Utha Kar bistar par rakha. Us ajnabi Ke jism par jagha jagha khoon laga hua tha. Chelsi ne us ki white khoon se bhari shirt ko utarna chaha to us Shaks ne isharay se Mana Kar diya or apni patti jo munh par lagi thi use utarnae ka ishara kiya . Chelsi foran us ki bat samajh gai or us ke muh par lagi hui patti khol di. Ajnabi 25 se 30 baras ka nojawan tha nehayat khush shakal tha magar chehre par khof tha. Chelsi ne us se us ka naam puchna chaha magar wo behosh ho kar bistar par gir gaya.

Toni chelsi Ke Kareeb aate hue bola 'kyun na chelsi is ki itla (information) police ko de dein. Marti ne ghabra kar tony se kaha tony kya police is daku ko pakad sakti hai. Chelsi foran Marti Ke Kareeb aai or usey sehlatay hue (piyar se thaptapatay hue) boli. 'Dekho Marti har insan daku nai hota . Ho sakta hai ye koi majboor insaan ho or mazloom bhi. Hmain sab se pehlay is ke zakhmo ka ilaj karna chahiye. Tony ne bebasi ka izhar karte hue kaha 'lekin hamare paas to kuch bhi nahi ilaaj kese hoga'. Chelsi uchal Padi “hai kyun nahi wo jo papa apne zakhmon par jari Bootiyan pees Kar lagate they shayad us ka kuch zakheera (stock) kahin pada ho chalo dhoondte hain. Tum Tony yahi betho main or marti dhoondte hain. Thodi der ki talash ke baad chelsi ko wo jadi booti ke dry beej (seed) mil gaye us ne inhain pees kar powder bana liya tha or Marti ko use ek pyaley me ehtiyat se dalne ko kaha or usey warn kiya ke kahin farsh (floor) par na gir jaye. Is ke girne se nishaan pad jayega. Chelsi ne us se bartan le liya or usey agay chalnay ko kaha. Ajnabi Shaks behosh ho chuka tha chelsi ne us ki shirt ko utar diya or tony ne us ke jism ko saaf kiya. Us ki bain (left) pasli (rib) ke paas ek bada zakhm tha jo Shayad chakoo ya churi ka tha, or jism ke Baki his’son par chote chote zakhm the. Chelsi ne us ke zakhmon par marham rui (cotton) se lagani shuro Kar di. Ek karah us kay muh se nikli or phir wo behosh hogaya. Samnay church se zor zor se awazein aani shuru hogai. Is waqat rat ke 11 baj Rahe the. Us ajnabi ko aye abhi ek ghanta bhi nai hua tha. Chelsi Marti or tony us Shaks ke hosh main aane ka intazaar karne lage. Taqreeban adhe ghante baad us Shaks ko hosh agaya, us ne taqiye ka Sahara le Kar khud ho bistar se Uthaya or sab ko ghur ghur ke daekhney laga. Phir us ne apne zakhmon ki taraf dekha jis par marham lagi hui thi. Wo foran chaukh pada 'ye marham tum logon ne lagai hai’?. Marti foran Bol Padi aap ka naam kya hai?

To Be Continued . . . 
Share on Google Plus

About Unknown

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment