Stories: Adam-Khor Part 3

Stories: Adam-Khor Part 3

Stories: Adam-Khor Part 3




Written By: Mahwash Shabbir

Ajnabi ne gor se Marti ki taraf dekha or phir tony or chelsi ki taraf. Us ne uthne ki koshish ki magar ladkhada kar phir bistar par gir gaya. Mera naam sam hai. Chelsi ne ajnabi (Sam) ki Taraf dekhte hue kaha 'Mr. sam ap hamaray ghar ke bahar zakhmi halat main kya kar Rahe the aap darwazay par dastak bhi de rahe they is liye hum ap ko andar le aye. Ap kon hain or ap ko kis ne zakhmi kiya? Sam ne darwazay ki taraf dekte hue kaha mera peecha kuch log kar rahe they wo log mujh se galat kam karwana chahte the. Wo mujh se bohat se logon ko katal karwana chahte they. Mere inkaar par unhoone mujhey bohat sakht peeta or mujh par chaqoo (knife) se hamla Kar diya magar main bhag ne me kamayaab ho gaya, mere paas bhagne kay Illawa or koi rasta nai tha. Ab agar tum mujhe Panah de sakte ho to main tumhara bohot bada ehsaanmand hounga. Han Han kyun nahi tony khushi se jhoom utha 'ap Yahan rahe waise bhi papa or mama ki maut ke baad hum akele ho gaye hain.

Read Adam Khor Part 1

Chelsi ne tony ki taraf ghoor Kar daikha or Marti bhi sehmi hui Sam ki taraf dekhne lagi. Shayad ap khush nahi hain. Sam ne Chelsi ki taraf dekhte hue kaha. Chelsi foran sambhal kar baith gai. Nai nai aisi koi baat nai. Chelsi ne usko beyaqeeni se dekhte hue poocha, Sam ap Christian ho? Sam ekdum chonk gaya. Aap ka mazhab kya hai? Sam uth kar beth gaya or hadbadate hue bola main mazhab par yaqeen nai rakhta sub mazahib ek jaise hote hain. Humain koi or bat karni chahiye. Chelsi Kuch hairan ho gai thi. Marti ne Sam se kaha to phir Sam ap ka naam Sam kyun hai ye aap ka nick name hai kya? Sam pehle muskuraya or phir Marti ko apne paas bitate hue bola shayad mujhy yaad nai main yateem hun is liye nai janta kis ne rakha ye nam. Chelsi ekdum soch main pad gayi. Shayad ye Christian ho or is kaa naam Samuel ho ya Shayad Hindu or is ka naam Sameer, Shayad ho sakta hai ye Muslim ho or is ka nam Sami-ulla ho.

Ye sub sochte hue wo ekdum ird gird se gafil ho gayi thi. Tabhi tony ne us ko awaz di chelsi kya ye yahan reh sakte hain? Chelsi ek jhatke me apni soch se bahar agai. Us ne Sam ki taraf daikhte hue kaha, Haan aap yahan reh sakte hain magar aapko ek baat bata doon, hamarae pass ghar ka guzara karne ke liye bohat kam aamdani hoti hai.ap khud sochain main ne abhi tak tony or Marty ko school main dakhil nai krawaya. Sam ne chelsi ki taraf gor se dekhte hue kaha 'main tum logon par bojh nai banoonga. Main sirf Chand dino ki panah chahta hun. Theek hai aap Yahan reh sakte hain, chelsi ne positive way me jawab diya. Aap yahan is kamre main rahein hum andar ke kamrey main chale jatae hain, Aap Aaram kare or darwaza mat kholiyega. Toni Marti Chelsi andar ke kamre main chalae gaye. Taqreeban 3 ghante ke baad kahin qareeb se hi zordar dhamake ki awaz sunai di. Chelsi chelsi kahan hain aap Marti or Tony chilla uthe. Main yahin hun tony apni jaga se mat hilo. Ek lamhe ke tawaq'quf (interval) ke baad chelsi ne inhain Marti or Tonyy ko warn kiya. Main uth kar bijli on karti hun. Chelsi ke bistar se uthne ki aawaz aai to Marti ne chilla Kar bistar se chalang laga di. Bijli ke jaltay hi Tony or Marti kii jaan main jaan aai. Chelsi aap ne dekha ye aawaz kis simat se aai thi? Tony ne chelsi ke aqab (peeche) chupte hue kaha. Chelsi khidki ke qareeb aate hue boli lagta hai koi dhamaka hua hai.

Read Adam-Khor Part 2

Dekho wo samne church ke paas se cheekh pukaar ki aawaz aa rahi hai. Yakeenan kuch hua hai. Uff chelsi aap ne dekhe main to nai dekh sakta. Yakeenan church me aag lag gai hai. Marti khof se seham gai thi logon ki awazain door se aa rahi thi. Achanak darwaze par dastak hui. Shayad bahar koi hai. Marti ne ghabrai hui awaz main kaha. Bahar se nai koi andar se dastak de raha hai, Shayad wo Sam bula raha hai. Chelsi ne tewar chadhate hue kaha. Kya hamain darwaza kholna chahiye? chelsi ne dono se poocha. Haan Shayad wo is dhamake ke mutalik maloom karna chahta ho, Tony ne wazahat karte hue kaha. Marti kisi soch or khof ke alam main gum sum chelsi ke saath lipti hui thi kay Isi aasna ( in the meantime) main chelsi ne darwaza khol diya. Sam bed par uth kar betha hua tha us kay chehray par khof kay badal mandra rahe they. Kya hua aap ne darwaze par dastak di? Chelsi us se dus (10) qadam ke fasle par khadi ho Gayi thi or Tony or Marti us ke peeche line me khade they. Nai ...nai ....Haan Haan mein ye keh raha tha aap ko bhi wohi sunai diya jo main ne suna? Aisa lagta hai kahin bohat bada toofan agaya hai. Sam ne ghabrat main jhilatay hue kaha. Lagta hai kahin koi dhamaka hua hai.

Chelsi ne mutafikarana andaz mai kaha. Sam ne chelsi ke chehre ko gor se dekhte hue kaha, Haan ye dhamaka hi tha or wo apne pehle mission main kamayab hogaye hain. Sam ne bed se uth'te hue kaha. Kya keh rahe ho Sam, Chelsi Sam kay qareeb ate hue boli. Mission ka matlab hai lekin tumhein bata kar kya faida laikin hain main tum logon ki madad kar sakta hoon. Yeh kaam yakeenan un logon ka hai. Sam ne fikar-mandana (concern) andaaz me sochte hue kaha. Kin logon ka? Tum to humein khofzada kar rahe ho. Nahi chelsi tumlog khofzada mat ho, Sam ne chelsi ko khofzada karte hue kaha. Lekin kon log kis liye ye sab kya hai Sam? Chelsi kursi par sar kar ke baith gai. Arey chelsi ye log is sheher me dehshat gardi ke dar pa (try) kar rahe hain. Is maksad ke liye unhoone apne agents chodh rake hain jo is mission ko anjaam dene me lage hai. Or Jane kesy lekin jab main hosh main aya to main in k kabze me tha. Chelsi ne ek dukh bhari aah lete hue kaha. Tum bhi in k sathi ho Sam? Chelsi ne Herat bhare lahjay main sawal kiya. Arey nahi Chelsi aise hi in ke jaal me phans gaya tha. Sam ne afsos bhare andaaz me kaha. To phir to yeh is sheher ko tabah kar deingey. Haan in ka mission ek-ek ghar ko tabah karna hai. Mery inkar per unhoon ne mujhey itna mara k main hilney k qabil na raha. Sam ne ankhon me sholay late hue kaha. To phir tum wahan se farar kesy hue. Chelsi kursi per be-Sabri se karwatein badalte hue boli. Main bas waha k ek khofiya teh-khaney (basement) se farar ho gaya. Magar tum janti ho k do raatein mujhey us lambi surang (tunnel) main guzarni padi jise tum gutter keh sakti ho.

Sam chelsi ke Kareeb bethtey hue bola. Kya tum log mujhe panah nai do gey? Sirf kal tak ke liye us k baad main chala jaunga. Sam uth kar khidki k samney jate hue bola. Lekin Sam hum ap ko kabhi nai Jane deingey. Marti ne masoomiyat se Sam ki tang ko pakadte hue kaha. Jana to hoga mujhe. Mene un zalimon se bhi to badla lena hai jo ek sath lakhon logon ko mout ki nind sula dete hain. Sam ne sanjeeda chehra banate hue kaha. Lekin Sam ab tou hum bhi un badmasho ke bare main jaan chuke hain ab hum bhi inhain nai chodeinge. Tony Sam ke qareeb aate hue bola. Sam us ki baat sun kar seedha ho kar beth gaya or tony ko apne qareeb kartaw hue bola 'pyare tony tum abhi chote ho mujhe to ye khatra hai kay kahin meri waja se tum log kisi museebat main na pad jao.  Sam ne fikarmandana andaz me sochte hue tony ki taraf dekha or phir palang par late gaya or sir pakad kar Kuch sochne laga. Isi asna main chelsi besabri se uthi or kuch sochte hue boli ' humain bahar jaa kar dekhna chahiye church main kafi shor sunai de raha hai, lagta hai har taraf aag lag gai hai bahar police hi police hai. Sam ekdum uth gaya or had'bada kar bola nai nai abhi bahar jana khatre se khali nai subha dekh leingey wese bhi police us taraf kisi ko nai janw de rahi Sam ne sub family members ko tanbhi ( warn) karte hue kaha. Bahar fire brigade or police ki gaadiyon ki awaz goonj rahi thi. Sam ne sub ko hidayat karte hue kaha tum sub andar jao aaram karo subha bahar Jaeinge koi is se pehle bahar nai jaega abhi mujhe thoda aaram chahiye is family ki hifazat ab mera kaam hai, ye keh kar Sam palang par daraz ho gaya ( late Gaya).

Subha sheher ke shumal maghrib janoob (south, west, north) ki taraf se zabardast dhamakoon ki awaz sunai de rahi thi har taraf Khuram barpa tha aise lagta tha har taraf qayamat ka manzar hai. Kuch pata nai chal raha tha ek raat main ye saray ghar, tamam ibadat gahain (mandir,masjid,girja) sub gir gaye they. Ja baja lashon kay dher they. Malbey ke neechey surkh rung ka frock hawa main lehrta hua nazar aya. Malba hatane par kisi ki awaz sunai di sir masoom bachi ko bhi nai Chora, ye Marti thi paas hi ek Bade malbe k dher me tony or chelsi ke kate phate aaza (body parts) khoon alood padeh they. In kay jism toot Kar bikhar gaye thay. Sab Jagah lashon ke dher padey hue they. Isi ghar ke malbe se computerized control system tooti phooti halat main baramad hogaya tha. Is system ke zariye sirf ek button dabane se jahan jahan bomb lage hain un ko ek waqat par udaya ja sakta tha. waise ye ghar shehar ke markaz main tha is liye yahan se control system ko operate kiya gaya. Officer ne wazahat karte hue kaha. Gi sir, haan pata chala hai Yahan solah (16) baras ki ek Ladki chelsi apne chote behan bhai ke saath rehti thi.

Officer ne us ki taid karte hue kaha. koi andar se kaisa hota hai insan samajh nai sakta. Ye keh Kar officer ne apni topi uttar Kar apna sir juka diiya goya ke wo apne mulk ki kam umar ladkiyon ke istarah istehsal (exploitation) par nadim (sharminda) tha achanak ek cameraman jo Bari Bari moochon wala tha hajoom (que) ko cheerta hua qareeb aya 'sir main kuch tasweerain lena chahta hun akhbar ke liye. Kyun nahi zarur aap jaise koi or reporter yahan mojood hain, inspector peeche ko sirak gaya. Moochon walae ne tasveerain utartay hue officer se sawal kiya ' ap k khayal main ye sub kese hua? . Inspector Kuch sochtay hue bola , is ghar main aise remote control system the Jin se shehar ko udaya ja sakta tha. Shayad ye sleeper cells the kam Hone ke baad inhon ney khud ko bhi uda diya. moochon wala malbay kay qareeb atay hue surkh frock kay pas aa kar ruk Gaya. Do masoom haath khoon or dhool main se jhank rahae thae goya keh rahe ho, Sam hum ko kabhi nai janay daingay. Us ki masoom ankhain band hogai thin. Moochon walay Shaks ne un do hathon ko apne hath se Chua or phir hath jharte hue khada ho gaya . Us ki bain (left) pasli se khoon beh raha tha jo us ne jacket kay neechay chupa liya tha. Moochon wala camera Utha Kar bamushkil sambhla, wah ray zakhm tu kya kya karwa daita hai, wo barbarata hua malbe ko rondta hua aage badh gaya.
Share on Google Plus

About Unknown

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment