Written by- Amrita Mohanty
Humara ghar ... humara Bhadrak...
Aye insaan ..kaisi hai teri maya...:'(
Tune kosa usi bhagwan ko Jis bhagwan ne tujhe jiwan diya..
Aye insaan aaj kis mukam pe duniya ko laya...
Jisne shristhi ki rachna ki tune usiko galat thehraya...
Aye insaan kya thi us bhagwaan ki galti jo tune har baat pe use beech main laya...
Aye insaan .... kaisi hai ye teri maya...
Apne logon k beech main tune danga lagwaya...
Usi bhagwan ko kosa phir usiko beech main laaya....
Apnon k beech main tune hathapai karwaya...
Phir apne ghusse ko bhagwan ka naam dilwaya..:'(
Bol de tu kya thi uski galti...
Kya yahi galti thi ki usne tujhe dharti pe laaya..
Bhagwan ek hai ye tu bhi janta hai...
Phir bhi tune uspe dharam ka roop lagwaya..
In sab ke beech main ...
Kya tu itna ni jaan paya...
Apni matrubhumi ko tune hi kast pahunchaya...
Tera ghussa tera abhiman ne hi is din ko janmaya...:'(
Kya shanti mili tujhe ye karke...
Kya mili tujhe ye dushmani banake...
Kya hua hamari bhaichara ko...
Kyun aaj jal rahi hai hamari maa...
Kyun aaj jal rahi hai hamari matrubhumi...
Kya tu itna andha ho gaya...
Kya tu itna berehem ho gaya...
Aye insaan kaisi hai teri ye maya...
Tu hi rakshak ...tu hi bhakshak...
Tu hi haiwan....tu hai hai darinda...
Aye insaan tu hi hai is duniya ki awaadi ...
tu hi hai is duniya ki barbadi...:'(
Aye insaan tujhe meri darkhwast hai...
Na kar ye sab tu....
Na leja mujhe mere duniya se dur... :'(
Bas 10 saal hi kaate hain maine teri goad main...aye maa bhadrakali...
Aye insaan bachale tu mere ghar ko...
Aye insaan... na leja tu mujhe mere ghar se dur...
Aye insaan ... lauta de tu mujhe mera bhadrak...
Jo aaj dharam aur hinsa k daboch main jal rahi hai....:'(
Jahan hai maine apna bachpan bitaya...
Jahan hai maine chalna sikha...
Na leja mere se door meri zameen ko...
Na leja merese door meri maa ko...
Na leja merese door mere ghar ko...
Na leja merese door mere logon ko...:'(
Aye insaan....Itni binati hai...
Ya khauf ka saya hata dey...
Aur mujhe mera ghar wapas dila dey...
Ghar ko kuch hua to main ji nahi paungi...
Sab kuch jalte hue kaise dekh paungi...
Apni ye bebasi aur lachari pe ghin aati hai...
Na kuch kar pa rahi hun...
Na kuch rok pa rahi hun...:'(
Bas yahin pe insaniyaat ko ye chithi likh rahi hun..
Aaye insaan... bacha ley meri jaan...
Aye insaaniyat bacha ley tu mere ghar ko...
Sab ke taraf se main hun maafi mangti...
Maaf kardo meri zanmen ko ......mere ghar ko....uska koi kasoor nhi hai.. chahe meri jaan lelo par use na jalao....
Baksh do mere bhadrak ko... :'(
Jhagda danga dur karao ... insaaniyat wapas lao... Bhadrak bachao...
0 comments:
Post a Comment