Stories: Adam-Khor
Stories: Adam-Khor. |
Written By: Mahwash Shabbir
Chalsi Fristila ke ek tang-o-tareek kony main ek flat main rahti thi. Wo din raat ki mehnat se chand paisy jama kar k apnay chote behen bhaiyon ka pait palti thi. Aaj Christmas day tha chelsi ke ghar se kuch faslay par wakai church kumkumon se jagmaga raha tha. Mithay suroon se ubhrti hui mosiqii (Music) us ke dil ko kat rahi thi. Us ki ek 8 sal ki behen Marti aur ek 10 saal ka bhai tony abhi school nahi jatey they kyun ki chelsi ke paas itney paisey nai they ke wo in ko school me dakhil kar saky. Us k Maa baap ka ek factory main bomb blast main inteeqal ho gaya tha unki maut ko aaj Ek saal se zayada ho gaya tha.aur ek saal se wo apney behen bhaiyo ka pait pal rahi thi.
Wo khud bhi teenage thi us ki umer 16 baras thi wo itni si umer main itna bojh uthaney k qaabil nai thi. Chelsi Ek school k bahar bachon ki nigrani karti thi wo wahan ki nigraan (peon) thi pora din wahan bethi Rehti thi. Ghar ka guzara to ho jata tha lekin wo is Qabil nai thi ke apney aur apney behen bhaiyon ke liye Christmas par acche kapde khareed sakey. Church main shor-o-gul se chelsi unchal kar apny bed per baith gai us ke itne zor se uchalney per bed k spring main se tarak ki awaz sunai di wo is qadr unchi thi ke chelsi ki choti bahen Marti bed se bedar ho gai wo bed se uth kar purani si kaleen (Mat) per chalny lagi. Chelsi ne palang se kod kar Marti ko sambhala aur bed per sula diya. Marti chelsi k Kareeb aa kar ankhein matka matka kar us ki taraf daikhney lagi.
Read Adam-Khor Part 2
Chalsi ne apne nak ko sukarty hue Marti se kaha kyun Marti bhook to nai lagi main na tumhary liye sandwich aur dodh fridge main rakh diya hai kaho to de doon. Marti ne foran ankhain jhapkai aur boli dear chelsi tum mujhy wahan samny church main le jao wahan sab kitny khush hain. Chelsi nanhi Marti ko samjhany k liye usey god main Utha liya aur kaha daikho Marti tumhain nai maloom ke aaj Christmas hai aur hamarey paas to peheney k liye acchey kapde bhi nai hain aur tumhare aur tony ke pas agar acche kapde nai honge to log tumhe church main bhooka (fakere) samjheingey. Chelsi ne Marti ko samjhatey hue kaha agar hamaray paas kapde aa jayein to phir Marti ne masoomiat se chelsi se daryaft kiya. Chelsi ne apni nadamat aur bebasi ke aansuon ko chupate hue Marti se kaha arey Marti kade bhi aa Jaienge agli Christmas per hum khobsurat achy ache kapde pehnaingey church bhi Jaengey aur geet bhi gaeingey. Chalo main tmharey liye fridge main rakhi hui burger garam kar k lati hoon.
Marti ne khushi se bed per uchalty hue kaha wah Chelsi ! Tum to sirf keh rahi thi sandwich aur dodh hai. Chelsi ne muskuratey hue kaha nai bhai kal jo Chand paisey the us se main 2 din ka Khana jama kar chuki hoon. Marti ne aankhein jhapkate hue kaha k aap to bohot chalak ho gai hain. Chelsi Marti ko thapki de kar kitchen main chali gai. Marti masomiyat se khidki k bahar dekhney lagi use church jagmagata hua nihayat khubsurat lag raha tha.Wo Ek jagmagate hue Chand ke jaisa lag raha tha. Marti dur se usey daikh kar muskura rahi thi. Chelsi thodi der main burger le kar kamrey main dakhil hui. Wah! garam garam burger. Ab Tony ko jagaya jai k nahi? chelsi na sawliya andaz main pocha. Mery khayal main koi zarorat nai tony to so raha hai Marti ne masomiyat se jawab diya. Thori der main dono burger k maze le rahe the tabhi achanak darwazy per dastak sunai di.
Read Adam-Khor Part 3
Marti chelsi se lipat gayi. Ye kon aa gaya is waqt? Chelsi ne Marti k sawal per gor Karte hue kuch socha ho sakta hai koi Banda church se rasta bhatak gaya ho main pochti hoon, Marti ne be-dhayani main jawab diya. Chelsi ne Marti ko bazu me pakad liya tum ruko main daikhti hoon. Shayad koi daku wagera ho. Badey ahteyat ki zarorat hai. Marti ne sar ko hilate hue haan kaha aur chotey takye ko apni god main laa kar darwaze ki taraf takne lagi. Chalsi uth k darwazy ki taraf gayi kon hai bahar? Magar bahar se koi aawaz nai aayi. Chalsi ne phir pucha ke bahar kon hai. Magar phir b bilkul khamoshi rahi. bahar sey halki halki sarsarahat ke awaz aa rahi the or koi halki awaz main dard se karah raha tha. Chalsi ne wapis mud jana behtar samjha magar darwaze par phir dastak hui. Is bar aisa lagta tha k koi charsi darwaze par dastak de raha ho. Marti ghabra kar Chalsi ke pass aayi. Kon hai bahar? Chalsi ne darwaze ko Apney hath se zor lagate hue kaha. Shayad koi chor ucchak’ka hai humain darwaze par koi bhari saaman rakh dena chahiye, Marti dar kar Chalsi se lipat gayi........
To Be Continued . . .
0 comments:
Post a Comment